Thursday, 21 February 2019

Talash khudki.

Khudki hai talash mujhko,
Na jaan paya hu mei khudko,
Zindagi ki yeh daastayen haseen hai,
Fir bhi garibo k liye batareen hai,
Khudki hi talash hai,
Isme jaan nahi Zinda lash hai,
Garibko ko ilaj Karna hai pr Paise nahi,
Ameero ko sath hu, par unke jaise nahi,
Khayal hai mere nekh aur yakeen mere sath,
Bitaye hai adhure sapne Wali humne Woh raath,
Pehchanta hu mei un darindo ka irada,
Bas farq hai ki apne bhi kamine hai unze Zyada,
Ghamand Na karta yeh apni likhayi pr Aise yeh Kala hai,
Khudh ki jwala Mei Aaj yeh jala hai,
Talash hai khudki, mujhko.
Na jaan paya Mei na khudko.
    Kitney darwaze thoke hai madad k,
   Pr mila na koi jawab,
Sawal puchne khade hogaye log Aaj,
Kaam rahe Toh Yaad Kare yeh hai inka tarika,
Khus naseeb hai woh Jinhone jee liye yeh salikha,
Kala hai mere paas fir bhi Kaam ki talash hai,
Zindagi Zinda dili ka naam, pr Mere yeh lash hai
Sochta hu Kal ayege din mere sukoon k,
Jab likhuga mere kahani mere is khun se,
Talash hai mujko khudki,
Na jan paya Mei khudko.